Apr 13, 2014

Sar-e-sehra musafir ko sitara yaad rehta hai



Sar-e-sehra musafir ko sitara yaad rehta hai

Main chalta hoon mujhay chahera tumhara yaad rehta hai

Tumhara zaraf ke tum ko mohabbat bhool jati hai

Hamain to jis ne bhi hans ke pukara yaad rehta hai

Safar main aisa mumkin hai main khud ko chor doon lakin

Dua'eain karnay walon ka sahara yaad rehta hai

Meray mola ne mujh ko chahha'ton ki saltanat dy de

Magar pehli mohabbat ka khasara yaad rehta hai

Poet : Mohsin naqvi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...