May 18, 2014

Aadhi raat ko yeh duniya walay jab khawabon main kho jatay hain


Aadhi raat ko yeh duniya walay jab khawabon main kho jatay hain 
Aisay main mohabbat kay rogi yaadon kay chragh jalatay hain 

Kartay hain mohabbat sab hi magar , her dil ko sila kab milta hai 
Aati hain baharein gulshan main , her phool magar kab khilta hai 

Tu ranjha na tha main heer na thi hum apna pyar nibha na sakay 
Youn pyar kay khawab bhout dekhaye tabeer magar hum paa na sakay 

Main ne to bhout chaha lakin tu rakh na saka wadon ka bharram 
Ab reh reh kay yaad aata hai jo tu ne kiya is dil pe sitam

Parda jo hatta don chehray se tujhay log kahein gay har'jaai 
Majboor hoon main dil kay haathon , manzor nahin teri ruswai 

Socha hai keh ab apnay honton par main chup ki mohar laga loon gi 
Main teri sulagti yaadon se ab is dil ko behlaa loon gi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...