Ab anazam kahon ya
Woh milnay kay ehad-o-payman
Sab jhootay niklay ae jana
Na tum ayein na pyar kiya
Na chahat ka izhar kiya
Na roothay dil ko shaad kiya
Na sapno ko abaad kiya
Ik pal bhi na mujhay yaad kiya
Kya khoob mujhay barbaad kiya
Ik ehad-e-mohabbat tor diya
Raahon main kiyon mujhay chor diya ?
In tootay huye armano ko
Un chahat kay afsano ko
Sab bhool kay mujh se kehti ho
Ik nazam koi mujh par likh do
Kya likhon , kya na likhon ?
Kya hijar ka afsana likhon ?
Ashkon ki kahani likh doon kya ?
Wehshat ki zubani likh doon kya?
Her baar purani likh doon kya ?
YA aag ko paani likh doon kya ?
Ho zikar tumhari ulfat ka ?
YA sirf fasana wehshat ka
Kya naam-e-wafa ki baat kahon ?
YA jor-o-jafa ki baat kahoon ?
Tum ko mehboob likhon ya phir
Tum ko hi Adu keh doon aakhir ?
Likhon keh wafa tum se na hui
Ya koi khata tum se na hui
Kuch baat mohabbat ki likh doon
Keh do to haqeeqat hi likh doon
Likh doon keh rulaya hai tum ne ?
Haan kitna sataya hai tum ne ?
Furqat main jalaya hai tum ne
Dewana banaya hai tum ne
Likh doon keh junoon ka zehar piya
Par tum ko kabhi ruswa na kiya ?
Jo zakham mila , sehnay pe saha
Par haal-e-junoon phir bhi na kaha
Tum se na shikayat ki main ne
Be'loas mohabbat ki main ne
Kis dhang se ulfat ki tum ne ?
Kis rang se chahat ki tum ne ?
Ghairon pe inayat ki tum ne
Apno se adawat ki tum ne
Haan ! nazar-e-inayat ki tum ne
Par behar-e-zaroorat ki tum ne
Is nazam ka unwaan koi nahin
Ab dard ka darmaan koi nahin
Ab chaak-e-giribaan koi nahin
Ab hijar se na'laan koi nahin
Sun pao to haal-e-dil keh doon ?
Ab nazam kahoon ?
Ya rehnay doon ?
No comments:
Post a Comment