May 29, 2014

Ae ajnabi shaks bata tu mera kiya lagta hai ?


Ajnabi 


Ae ajnabi shaks bata

tu mera kiya lagta hai ?

tera andaaz-e-biyaan

teri yeh shokiyan 

mera her gham mera her dard

mita detay hain

meray in zakhmon par 

marham si laga detay hain

Ae ajnabi shaks bata

yeh kaisa rishta hai keh 

tujh se milney ki

meray dil ko aas rahay

tu mujh se door hai lakin

tera wajood meri

dharkano ke pass rahay

Ae ajnabi shaks bata

yeh kaisa jazba hai

keh tum se mohabbat hai

ulfat hai na koi chah

na paney ki hasrat hai

na khoney ka gila

na mohabbat hai

na ulfat 

to yeh jazba kaisa


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...