May 13, 2014

Agar bicharna tehar gaya hai



Agar bicharna tehar gaya hai
To meray khawabon samait
Apni udaas ankhain
Bhula ke jayo
Keh jab bhi milna paray kisi se
(Kisi shanasa keh ajnabi se)
To youn na ho ..
Tum chupa na payo
Tamaam mazi !
Tamaam sach ke laho main tar
Na'tamaam waday !
Keh ajnabi doston se miltay huye
Khud apni udaas ankhon main
Boltay sach ko dafan karna
Bhout hi mushkil hai
Apnay mazi ke sach pe
'Izhaar-e-mazrat'
Aur mazrat.....!!!
Aitaraaf -e-juram-o-saza se bhi
Ik kara amal hai
Jo tum se shayed kabhi na ho
Poet : Mohsin Naqvi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...