Agar ho sakay to kisi din meray ghar ayo
Kisi din meray ghar aayo
Meray kamray main baitho
Aur her shai ko dekho
Book shelf main pari hui
Kitabein aur dairiyaan
Maze pe rakhi hui tasveerain
Aur gul'daan main rakhay huye phool
Tumhein bataein gay
Daraaz main mojood cassetein
Dewaron pe lagay card
Tum par ayaan karein gay
Keh kaisay meray armaano se teray khawab dekhay thay
Agar ho sakay to kisi din meray ghar aayo
Dewaron pe khuday huye haroof
Aur bistar par naqsh be'qaraari tum par ayaan karein gi
Keh meri aarzo'on ne kis tarah tumhari aarzoo ki hai
Aur kaisay meray khawabon ne tumharay khawaab dekhay hain
Agar ho sakay to kisi din meray ghar aayo
No comments:
Post a Comment