May 22, 2014

Ajab pagal si larki hai mujhay her khat main likhti hai




Ajab pagal si larki hai
mujhay her khat main likhti hai
mujhay tum yaad kartay ho?
tumhain main yaad ati hoon ?
meri batain sta'ti hain ?
meri neendain jaga'ti hain ?
meri ankhain rulati hain ?
december ki sunehri dhoop main..
ab bhi thel'tay ho ?
kisi khamosh rastay se..
koi awaz ati hai ?
that'tharti sard raton main
tum ab bhi chat pe jaty ho?
falak ke sab sitaron ko...
meri batain sunatay ho ?
kitabon se tumharay ishq main
koi kami aai ?
ya meri yaad ki shidat se...
aankhon main nami aai ?

ajab pagal si larki hai
mujhay her khat main likhti hai
jawabann main us ko likhta hoon...
meri masroofiat dekho !
sehar se shaam office main
chraagh-e-umar jalta hai
phir us ke baad duniya ki kai majburiyan
paon main bairry daal rakhti hain
mujhay be-fikar chahat se bharay
sapney nahin dekh'ty !
thehl'ney , jagney , roney ki...
fursat hi nahin milti
sitaron se milay arsa hua
naraaz hon shyed ..
kitabon se shaguff mera
abhi waisay hi qaiyam hai
bas ab itna hua hai
main inhain arsay main parhta hoon
tumhain kis ne kaha pagli
tumhain main yaad karta hoon ?
keh main khud ko bhulaney ki
musalsal justago main hoon
tumhain na yaad any ki
musalsal justago main hoon
magar yeh justagoo meri
bhout na'kaam rehti hai
meray din raat main ab bhi
tumhari shaam rehti hai
meray lafzon ki her mala
tumharay naam rehti hai
tumhain kis ne kaha pagli
mujhay tum yaad ati ho ?
purani baat hai jo log aksar gun'gunatay hain
unhain hum yaad kartay hain
jinhain hum bhool jatay hain

ajab pagal si larki hai
meri masroofiat dekho
tumhain dil se bulaon to
tumhari yaad aye na
tumhain dil se bhulany ki
mujhay fursat nahin milti
aur is masroof jeevan main
tumharay khat ka ik jumla

'tumhain main yaad ati hoon'

meri chahat ki shid'dat main
kami honey nahin deta
bhout ratain jagata hai
mujhay soney nahin deta
so agli baar apnay khat main yeh jumla nahin likhna

ajab pagal si larki hai
mujhay phir bhi yeh kehti hai
mujhay tum yaad kartay ho ?
tumhain main yaad ati hoon ?




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...