May 12, 2014

Azal se hai mohabbat mawara lafzon ki mala se



Azal se hai mohabbat

Azal se hai mohabbat
Mawara lafzon ki mala se
Magar yeh bhi haqeeqat hai
Mohabbat soch ke akaash par
Badal ki surat main
Sada parwaaz karti hai
Kabhi barish ki boondon main
Smit kar dil ki dharti par
Utarti hai bikhirti hai
Ada le kar saba se yeh
Gulabon se mehak le kar
Dhanak se rang le kar
Aur sitaron se chamak le kar
Haseen anchal banati hai
Isi anchal se phir khawabon ke
Kachay ghar sajati hai
Mohabbat azmati hai
Kabhi yeh shair ban kar...
Lafaz ki hurmat barhati hai
KAbhi yeh saaz ban kar...
Dheeray dheeray gungunati hai
Sarapa-e-ankh ban jati hai
Yeh mehboob ko pa kar ...
Anokha lams ban jati hai
Ko-e-yaar main ja kar
Na janay kon sa mantar !
Yeh parh kar hole hole se
Kisi ki band ankhon main
Bina dastak diye yakdam
Utar ke ghar banati hai
Mohabbat muskurati hai !
Yeh kushboo hai
Hamesha phool ki sansoon main hoti hai
Bana de jo chaand teeara shabon ko...
Aisi joti hai
Kasak hai da'emi is main
Bhout be-naam lazat hai
Mohabbat ki yahi tareef hai
Keh yeh mohabbat hai !!!!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...