May 10, 2014

Badbaan khulnay se pehlay ka ishara dekhna


Badbaan khulnay se pehlay ka ishara dekhna
Main samandar dekhti hoon tum kinara dekhna

Youn bichirana bhi bhout asaan na tha us se magar
Jatay jatay us ka woh mur kar dobara dekhna

Kis shabahat ko liye aya hai chaand
Ae shab-e-hijraan ! zara apna sitara dekhna

Kiya qiyamat hai keh jin ke naam par paspa huye
Un hi logon ko muqabal saf-e-araa dekhna

Jeetnay main bhi jahan jee ka ziyaan ziada hai
Aisi bazi harnay main kiya khasara dekhna

Ainay ki ankh main kuch kam na thi meray liye
Janay ab kiya kiya dekhyae ga tumhara dekhna

Aik masht-e-khaak aur woh bhi hawa ki zad main
Zindagi ki be-basi ka istaara dekhna

Poet : Parveen Shakir

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...