May 29, 2014

Ab kay youn takmeel husan-e-meh'khana hui hai


Ab kay youn takmeel husan-e-meh'khana hui hai 
Us zulf-e-ambreen ki ik boond nazrana hui hai 

Rubab-e-hasti , abar-e-junoon mehka hai 
Gosha-e-mushk-e-fasoon mehka hai 
Saman-e-hazrat-e-hijar hua hai 
Rindan-e-guzishta ka kahin khoon mehka hai 

Khaak-e-ru'ami lab zara si tar hi to hui hai 
Dil ki wadi main lahu kiyon mehka hai 
pata pata teri umeed ka neh'laya gaya hai 
Ku-ba-ku teri yaadon ka sakoon mehka hai 

Chatt kay bada jo zara, su'ey shaher utra hai 
daali daali pe naya deeda'war utra hai 
Be'rang-o-be'kaif-o-be'dar utra hai 

Shokhi naqsh-e-tehreer youn numayan hai 
Jaisay falak se zameen ka sukhan'war utra hai 

Dasht walay issay mousam ki khabar kehtay hain 
Ya keh baarish kai ehal-e-fikar kehtay hain 

Haan magar 
Teri furqat main kisi raat jo hum roye hain 
IS barasnay ko hum 
Us barasnay ka asar kehtay hain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...