Betiaan bhi to maa'on jaisi hoti hain
Zabt kay zard aanchal main apnay
rotay rotay hans parti hain
Hanstay hanstay , dil hi dil main ro leti hain
Khushi ki khwaish kartay kartay
Khawab aur khaak main utt jati hain
So hisson main bat jaati hain
Ghar kay darwaze pe baithi
Umeedon kay resham buntay ....sari umar ganwa deti hain
MAin jo gaye dino main
Maa ki khush fehmi pe hans deti thi
Ab khud bhi to
Umar ki girti dewaron se taik lagaye
Fasal khushi ki boti hoon
Aur khush fehmi ki kaat rahi hoon
Janay kaisi rasam hai yeh bhi
Maa kiyon beti ko warsay main
Apna muqadar de deti hai ....!
No comments:
Post a Comment