May 19, 2014

Chain mil jaye ga dil ko yaqeen rehta hai


Chain mil jaye ga dil ko yaqeen rehta hai
Raah guzar dard ki hai khushiyon ka safar rehta hai 
Wehshatein aati hain her roz hi milnay mujh se
Dard ki lehron pe jeevan ka guzar rehta hai 
Aks aik meri nigahon main basa muddat se
Is liye aankh se sawan bhi rawan rehta hai 
Phool khiltay thay dar-o-dewar pe chahat kay kabhi 
Zard paton se dhaka ab to samaan rehta hai 
Ronaqein rooth gayein meray makaan ki kaisay 
Wehshaton main yeh makeen aur makaan rehta hai 
Kaisay beetay hain yeh shab-o-roz mujhay yaad nahin 
Karb main waqat ka ehsaas kahan rehta hai 
Aik muddat se nahin dekha sanwar ka khud ko 
Toot kar bikhrein to phir hosh kahan rehta hai 
Waqat ki tez hawaon ne tabbah mujh ko kiya 
Meray chehray pe her ik aks nihaan rehta hai 
Duniya walon se gila kon karay kis kay liye 
Khouf main dooba hua ab to makaan rehta hai 
Kitna nadaan hai sar-e-raah kiyon baitha hai "Naseem"
Dair tak saath yahan kon rehta hai 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...