Dasht-o-dariya se guzarna ho keh ghar main rehna
Ab to her haal main hai hum ko safar main rehna
Dil ko her pal kisi jadu kay asar main rehna
Khud se niklay to kisi aur kay dar main rehna
Shaher-e-gham dekh teri aab-o-hawa khushk na ho
Raas aata hai ussay deeda-e-tar main rehna
Faisalay saray ussi kay hain hamari ba'bat
Ikhtayar apna bas itna keh khabar main rehna
Toot'na youn to muqaddar hai magar kuch lamhay
Phool ki tarah muyassar ho sajar main rehna
Tahir jaan kay guzarnay se bara saniha hai
Shouq-e-parwaz ka tootay huye par main rehna
No comments:
Post a Comment