december ab bhi tera muntazer hai
woh lamhay
soch ki dehleez pe tehray huye hain
december ke mahenay main
hazaron saal pehlay jab
teray waday ke honton ne
meri ankhon se behti zindagi ke hath choomay thay
meri be'rang baton ke kinaray
tum ne khawabon ke saharay aur ashkon ke sitaray rakh diye thay
aur
hawa ko apni chahat ki hifazat ka ishara kar diya tha
hawa ki khunkiyon main ab bhi teri naram batain
ahaton ka jaal bunti hain
sma'at ab bhi teray qeh'qahon ka shor sunti hai
khyal ab tak tumhari ungliyon se
meray dil ke surkh ansoo ponchta hai
nigahaein baraf ke phailay chamkeelay canvas par ja baja
teri zaroorat paint karti hain
that'thartay paniyon ke tan par bikhri dhoop
tera hijar rehti hai
kahan hoti hai tu
mohabbat ki sulagti raah'guzaron ke kinaray par
december ab bhi tera muntazir hai
No comments:
Post a Comment