May 17, 2014

Main janta hoon keh ab chat'ton par



Main janta hoon keh ab chat'ton par

Diye jalanay ki rasam baqi nahin rahi hai

Magar tumhain meri yaad aye

To yaad rakho...!! 

Tum apni ankhon se

Anso'on ke chamaktay moti na girnay dena

Bas itna karna

Keh apni chat par

Meri mohabbat ki nazam ga kar

Meri rafaqat ko yaad karna

diya jalana

Tum apni chat par kisi bhi konay main baith kar

Ik diya jalana

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...