door tak chaye thay badal aur kahin saya na tha
is tarah barsaat ka mousam kabhi aya na tha
kiya mila aakhir tujhsy sayon ke peechay bhaag kar
ae dil-e-nadaan tujhay kiya hum ne samjhaya na tha
uff yeh snata keh aahat tak na ho jis main mukhil
zindagi main is qadar hum ne sukoon paya na tha
khoob roye chup ke ghar ki chaar devaari main hum
haal-e-dil kehnay ke qabil koi ham'saya na tha
ho gaye qalash jab se ass ki daulat luti
paas apnay aur to koi bhi sarmaya na tha
woh payamber ho ke aashiq qatl-e-gaah-e-shauq main
taaj kanton ka duniya ne pehnaya na tha
ab khula jhonkon ke peechay chal rahi thi andhiyaan
ab jo manzar hai woh pehlay to nazar aya na tha
sirf kushboo ki kami thi ghour ke qabil qateel
warna gulshan main koi bhi phool murjhaya na tha
No comments:
Post a Comment