Door tak cha'ye thay badal aur kahin saya na tha
Is tarah barsaat ka mousam kabhi aya na tha
Kiya mila akhir tujhay say'eyon ke peechay bhaag ke
Ae dil-e-nadaan , tujhay kiya hum ne samjhaya na tha
Uff yeh snata keh ahat tak na ho jis main mukhil
Zindagi main is qadar hum ne sukoon paya na tha
Khwaab roye chup ke ghar ki chaar dewari main hum
Haal-e-dil kehnay ke qabil koi hamsaya na tha
Ab khula , jhonkon ke peechay chal rahi thi andiyaan
Ab jo manzar hai woh pehlay nazar aya na tha
No comments:
Post a Comment