Harf-e-taza naye kushboo main likha chahta hai
baab aik aur mohabbat ka khila chahta hai
aik lamhay ki tawajo nahhin hasil us ki
aur yeh dil keh ussay had se siwa chahta hai
ik hijaab teh-e-iqrar hai manay warna
gul ko maloom hai kiya dast-e-saba chahta hai
rait hi rait hai is dil main musafir meray
aur yeh sehraa tera naqsh-e-kaf-e-paa chahta hai
yahi khamoshi kai rang main zahir ho gi
aur kuch roz keh woh shokh khila chahta hai
raat ko maan liya dil ne muqadar lakin
raat ke hath pe ab koi dia chahta hai
No comments:
Post a Comment