Ik sitam aur meri jaan , abhi jaan baqi hai
dil main ab tak teri ulfat ka nishaan baqi hai
Ik sitam aur meri jaan , abhi jaan baqi hai
juram toheen-e-mohabbat ki saza de mujh ko
kuch to mehroom-e-ulfat ka sila de mujh ko
jisam se rooh ka rishta nahin toota hai abhi
haath se sabar ka daman nahin choota hai abhi
abhi jaltay huye khawabon ka dhuan baqi hai
ik sitam aur meri jaan abhi jaan baqi hai
apni nafrat se meray pyaar ka daman bhar de
dil-e-gustaakh ko mehroom-e-mohabbat kar de
dekh toota nahin chahat ka haseen taj mehal
Aa keh bikhray nahin mehki yado'on ke kanwal
abhi deed ke gulshan main khizaan baqi hai
ik sitam aur meri jaan abhi jaan baqi hai
No comments:
Post a Comment