May 19, 2014

Janaa tum ne apnay khat main tehray tehray lafzon main


Janaa tum ne apnay khat main 
Tehray tehray lafzon main 
Kuch likha kuch chor diya 
Youn lagta hai lafzon ko 
Tum ne mahni kay dar pe
Laa kar wapis mor diya 
Aur phir
Alfaaz kahan kuch keh paatay hain 
Yeh adraak ki sakhat zameen par 
Ik sarhad pe ruk jatay hain 
MAin alfaaz nahin parhti 
MAin to bas woh parhti hoon 
Jo satron kay beech likha hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...