May 23, 2014

kabhi kabhi meray dil main khyal ata hai




kabhi kabhi meray dil main khyal ata hai

keh zindagi teri zulfon ki naram chayon main

guzarne pati to shadaab ho bhi sakti thi

yeh tergi jo meri zeest ka muqadar hai

teri nazar ki shua'on main kho bhi sakti thi

ajab na tha ke main begana-e-aalam ho kar

teray jamaal ki ra'naiyon main kho rehta

tera gudaaz badan teri neem baar ankhain

inhain haseen fasano main maho rehta

pukartein mujhay jab talkhiyan zamanay ki

teray labon se halawat ke ghount pee leta

hayat cheekhti phirti barhana sar , aur main

ghaneiri zulfon ke saye main chup ke jee leta

magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam ahi

keh tu nahin , tera gham , teri justagoo bhi nahin

guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jaisay

aisay kisi shaher ki arzoo bhi nahin

zamaney bhar ke dukhon ko laga chuka hoon gale

guzar raha hoon kuch anjani guzar gahon se

moheeb saye meri simat barh'tay atay hain

hayat-o-mout ke pur hole khaar'zaron se

na koi jaga na manzal na rosni ka suraagh

bhatak rahi hai khayalon main zindagi meri

inhi khyalon main reh jayon ga kabhi ka ho kar

main janta hoon meri hum-nafas magar youn hi

kabhi kabhi meray dil main khyal ata hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...