Meray aangan main ayo
toot'tay patay dekho
meri sab khirkiyon par hijar ka kohra jama hai
meray darwazon ke bazoo
tumharay loatney ki chah main shell ho gaye hain
meray ghar ke chraghon ki her ik lahoo
dard maon doobi hui hai
woh dekho thar'tharahat bain karney lag gayi hai
meray takiye pe tehri dhool dekho
meray bistar ki chadar be'shikan gum sum pari hai
woh atish'daan dekho kis tarah soona rakha hai
woh dekho raat ka khana para hai
yeh dekho chaye thandi ho sakti hai
tumharay khat , kitabain , card , tohfay
mujhay milney ki khwaish main
meray charon taraf bikhray huye hain
woh ik tasveer meray samney gum sum pari hai
woh ik konay main hasrat thak gayi hai so gayi hai
yeh barhti shave yeh gadlay sleepar
meray balon main furqat jam gayi hai
meray honthon se chup lipti hui hai
tumharay lams ki hiddat nahin to
meri poron main sardi tham gayi hai
tumhara hijar had se barh chuka hai
mujhay tanhai chubhney lag gayi hai
main thak kar tootney wala hoon
main khud se rabtay na tor baithon
kahin main hosla na chor baithon
kahin main hosla na.............
No comments:
Post a Comment