Kis ko khabar thi
kis ko gumaan tha ik nuqtay ki aagosh itni kashada ho gi
jis main ant siray tak rang bhari pehnaei
ghul mil ke reh jaye gi
kis ko khabar thi anjanay pan ki gard libada ho gi
jis ke sadiyon ki sar basta da'naei
apni chup dikhlaye gi
kis ko yaqeen tha door ke lams ki taseer itni
ziada ho gi
jis se sangeen paikar main jamad-e-ra'naei
rooh ki nidrat paye gi
aisi anhoni bataon main sach ki kirnain taank chuki hoon
main in jagti aankhon ke ghambeer talisam main
jhaankh chuki hoon
No comments:
Post a Comment