May 31, 2014

Kis liye phir udaas baithi ho


Kis liye ab udaas baithi ho
jab woh ik shakhs dastaras main tha
us se milna tumharay bas main tha
us ki aankhain tumhari aankhain thein
us ki batain tumhari batain thein
us ka chahera tumhara chahera tha 
us ke dil par tumhara pehra tha
us ki her saans main bai thein tum
us ke her lafaz main khil thein tum 
us ke sapno main bhi rachi thein tum
us ki neendon main jagti thein tum
woh jo kehta tha be'qarari hai
meri sari wafa tumhari hai
sirf tum se mujhay mohabbat hai
sirf tum se meri haqeeqat hai
kitni batain main keh nahin sakta
door tum se main reh nahin sakta
tab tum us ke her aik jumlay ko
tab tum us ke her aik jazbay ko
ik hansi main uraya kari thein
us ki aankhon ko dekhti jab woh
be'niazi ke dard sehta tha
bhool jana tumhari aadat thi
phir bhi kitna mallol rehta tha
apni tanhai ke galay lag kar 
saray ansoo woh ro gaya ik din
aik pathar se dil lagi kar ke 
khud bhi pathar ka ho gaya ik din
ab woh tum se kuch nahin kehta 
be'niazi ke dukh nahin sehta
us ki aankhain ab us ki aankhain hain
us ki batain ab us ki batain hain
bhool jana tumhari aadat hai
us ki baton ko bhool jayo na
ab woh aik sakhs dastaras main nahin
us se milna tumharay bas main nahin
kis liye phir udaas baithi ho..???

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...