Laakh masmaar kiye jayein zamaney wale
Aa hi jatay hain naya shaher basaney walay
us ki zid par woh kabhi khud bhi to aa saktay hain
yeh kahan jantay hain aag laganey walay
ab to sawan main bhi barood barasta hai
ab woh mousam nahin barish main nahaney walay
sar se jata hi nahin wada-e-farwa ka junoon
mar gaye adal ki zanjeer hilaney walay
hum na kehtay thay tujhay waqat bhout zalam hai
kiya huye ab woh teray naaz uthaney wale
saye main bithi hui nasal ko maloom nahin
dhoop ki nazar huye pairr laganey walay
ghar main deewarain hain aur sehan main aankhain hain saleem
itney azaad nahin wada nibhaney walay
No comments:
Post a Comment