Rab-e-Kareem sunta hai her maan ki baat ko
Khaliq hi jaanta hai sab is ki sifaat ko
Us ka jawab aata hai arsh-e-bareen se phir
Maan jab pukarti hai kabhi paak zaat ko
Aankhon main apnay bachon kay aansoo ko dekh kar
Aahon se hila deti hai maa kainaat ko
Bachon kay dukh main maa nahin soti raat bhar
Uth uth kay choomti hai unhein aadhi raat ko
Bacha koi jahan main un'parh na reh sakay
Ghar ghar main ayo rakhein qalam aur dawaat ko
Koi to "Fozia" unhein jaa kar khabar karay
KAb se taras rahi hoon teray ittafaat ko
No comments:
Post a Comment