Junoon main shouq ki gehraiyon se darta raha
MAin apni zaat ki sachaiyon se darta raha 
Mohabbaton se shanasa hua main jis din se 
Phir us kay baad shanasaiyon se darta raha 
Woh chahta tha keh tanha milon to baat karay 
MAin kya karon keh main tanhaiyon se darta raha 
Main raah'guzar tha mujh main basay thay sanatay 
Isi liye to main shehnaiyon se darta raha 
MAin apnay baap ka yousaf tha is liye Mohsin 
Sakoon se so na saka bhaiyon se darta raha 

No comments:
Post a Comment