Talab ko ajar na doon , fikar-e-raah'guzar na karon
Safar main ab kay hawa ko bhi hamsafar na karon
Ubhartay doobtay suraj se tor loon rishta
Main shaam orh kay so jaaon aur sehar na karon
Ab is se barh kay bhala kiya ho ehtiyaat-e-wafa
MAin teray shaher se guzron , tujhay khabar na karon
Yeh meray dard ki doulat , meri mata-e-firaaq
in Aanso'on ki wazahat main umar bhar na kron
Ujaar shab ki khalish kay ban main kho jaaon
Main chandani ki tarah khud ko dar ba'dar na karon
Woh aik pal ko dikhai to dy kahin Mohsin
Main jaan ganwa kay bhi us pal ko muktasar na karon
No comments:
Post a Comment