Main ne is tour se chaha tujhay aksar jana
Jaisay mehtaab ko be'ant samandar chahay
Jaisay suraj ki kiran seep ke dil main utray
Jaisay kushboo ko hawa rang se hat kar chahay
Jaisay pathar ke klajay se kiran phoot'ti hai
Jaisay gunchay khulay mousam se hina mangtay hain
Jaisay khawabon main khaylon ki kamaan tooti'ti hai
JAisay barish ki dua abla'pa mangtay hain
Mera her khawab meray sach ki gawahi de ga
das'at-e-deed ne tujh se teri khwaish ki hai
Meri sochon main dekh kabhi sarapa apna
Main duniya se alag teri par'istish ki hai
Khwaish-e-deed ka mousam kabhi dhundla jo hua
Noch dali hain zamanay ki niqabain main ne
Teri palkon pe utar'ti hui subha kay liye
Tor dalain hain sitaron ki tanabain main ne
MAin ne chaha teray husan ki gulnaar fiza
Mei ghazlon ki qataron se mehakti jaye
MAin chaha keh meray fun ki bahar
Teri ankhon kay gulabon mehakati jaye
Teh to yeh tha keh sajata rahay lafzon ke kanwal
Meray khamosh khayalon main takalum tera
Raqas karta rahay bharta rahay kushboo ka khumaar
Meri khawaish ke jazeeron main tabussam tera
Tu magar ajnabi mahol ki parwarda kiran
Meri bujhti hui raton ko sahar kar na saki
Teri sanson main mase'hai thi lakin tu bhi
Char-e-zakham ghame-e-deed tar kar na saki
Tujh ko maloom hi kab hai kisi ke dard ka daagh
Ankh se dil main utar jaye to kiya hota
Tu keh seemaab tabiyat hai tumhain kiya maloom
Mousam-e-hijar tehar jaye to kiya hota hai
Tu ne us mor pe tora hai talauq ke jahan
dekh sakta nahin koi bhi palat kar jana
Ab yeh alam hai keh ankhain kholaein ge apni
Yaad aye ga teri deed ka manzar jana
Mujh se mangay ga teray ahad-e-mohabbat ka hisaab
Teray hijraan ka dekh'ta hua mehshar jana
Youn meray dil ke barabar tera gham aya hai
Jaisay sheeshay ke muqabal koi pathar jana !
Main ne is tour se chaha tujhay aksar jana
Jaisay mehtaab ko be'ant samandar chahay
Jaisay suraj ki kiran seep ke dil main utray
Jaisay kushboo ko hawa rang se hat kar chahay
No comments:
Post a Comment