May 19, 2014

Manzalon ki justago main rastay kat'tay rahay


Manzilon ki justagoo main raastay kat'tay rahay
Aabla-pa be'khatar hum khaar pe chaltay rahay

Waqat ki be'reham lehron ne ujaara hai hamein
Aur hum nadaan kitnay khud se hi lartay rahay

Zindagi ne her qadam par de diye kitnay sabaq
Girtay partay rotay gaatay her sabaq parhtay rahya

Be'hissi kay dour main be'hiss hua insaan kiyon
Apni sochon ko liye hum dar-badar phirtay rahay

Zindagi nehmat-e-Khuda hai zindagi chahti hai kya
In sawalon ko yahan sab dar guzar kartay rahya

Zindagi ne kis qadar toofan bar'pa kar diye
Aur putlay khaak kay kaisay yahan akray rahay

Maal-o-doulat ki chamak ne kaisay andha kar diya
Be'waja laashay bhi dekho her jaga girtay rahya

Rishtay naatay ho gaye nazuk yahan insaan kay
Aik ghar main rehnay walay bhi yahan lartay rahay

Meri baaton main nahin kuch khaas sab kuch Aam hai
Hum bhi janay kiyon yahan her baat ko likhtay rahay

Dekhye hain toofan tu ne aaj tak kitnay "Naseem"
Saahilon par aa kar toofan bas yahan martay rahay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...