Maqrooz ke bigray huye halaat ki manind
majboor ke honthon pe sawalaat ki manind
dil ka teri chahat main ajab haal hua hai
sailaab se bar'baad makanaat ki manind
main in main bhatkay huye jugno ki tarah hoon
is shaks ki aankhain hain kisi raat ki manind
dil roz sajata hoon main dulhan ki tarah
gham roz chalay atay hain baraat ki manind
ab yeh bhi nahin yaad kiya naam tha us ka
jis shaks ko manga tha manajaat ki manind
kis darja muqada hai teray qarb ki khwaish
masoon se bachay ke khayalaat ki manind
us shaks se milna mera mumkin hi nahin
main pyaas ka sehra woh barsaat ki manind
No comments:
Post a Comment