May 25, 2014

shab-e-tareek main roshan sitary meray ansoo hain


shab-e-tareek main roshan sitary meray ansoo hain
tabhi to jaan-e-jaan tujh ko bhi piyare meray ansoo hain

meray seenay ke pathar se koi chashma nahin phoota 
meri num'naak aankhon ke kinaray meray ansoo hain

rukain to aankh jal jaye , beh'hain to aag lag jaye
inhain pani nahin samjho , shar'raray meray ansoo hain

tumhari aankh bhi nam hai , meri bhi chashme num deeda 
to qadr-e-mushtarik bas ik tumharay aur meray ansoo hain

sehar-e-dam choomtay hain jo gulon ko phool paton ko 
woh tabas'sum ke nahin qatray woh saray meray ansoo hain

palat ke us ne dekha to woh wapis loat aya hai
zaban-e-khamshi ke ista'aaray meray ansoo hain

sun ae uzma mohabbat bhi to karo'baar hai jis main
munafah teri kushiyan hain ,khsaray meray ansoo hain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...