May 30, 2014

Mohabbaton kay haseen fasanay ki baat mat kar


Mohabbaton kay haseen fasanay ki baat mat kar 
Tu is zamanay main us zamanay ki baat mat kar 

Bharram jo qayim hai dosti ka , rahay to behtar 
Tu meri jaan is ko Aazmanay ki baat mat kar 

Mohabbaton kay liye haqa'iq nahin badaltay 
Tu paniyon main diye jalanay ki baat mat kar 

Qabuliyat ka hai kon sa pal kissay khabar hai 
Mazaq main bhi ae yaar janay ki baat mat kar

Tu aur jo bhi kahay ga main us ko maan loon ga 
Bas iltijaa hai mujhay bhulanay ki baat mat kar

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...