Mohabbat dard ki surat 
guzishta mousamon ka ista'ara ban ke rehti hai
shabaan-e-hijar main roshan sitara ban ke rehti hai
mundairon par jab chraghon ki luein jab thar'thrati hain 
nagar main na'umeedi ki hawaein sansanati hain
gali main jab koi aahat , koi sya nahin rehta
dukhay dil kay liye jab koi bhi dhoka nahin rehta
ghamon ke bojh se jab tootney lagtay hain shaanay to
yeh un par hath rakhti hai
kisi hamdard ki surat 
guzar jatay hain saray qafalay jab dil ki basti se
fiza main tehrati hai der tak 
yeh gard ki surat 
mohabbat dard ki surat
 
No comments:
Post a Comment