Meri zindagi main bas ik kitab hai ik chragh hai
Ik khawab hai aur tum ho
Yeh kitab-o-khawab kay darmiyan jo manzilin hain , main chahta hoon
Tumharay saath basar karon
Yahi kul asasa-e-zindagi hai , isi ko zaad-e-safar karon
Kisi aur simt nazar karon to meri dua main asar na ho
Meray dil kay jaada-e-khush'khabar pe ba'juz tumharay kabhi kisi ka guzar na ho
Magar is tarah keh tumhein bhi is ki khabar na ho
Isi ehtiyaat main sari umar guzar gayi
Woh jo aarzoo thi kitab-o-khawab kay saath tum bhi shareek ho wohi mar gayi
Isi kash'ma'kash ne kai sawal uthaye hain
Woh sawal jin ka jawab meri kitab main hai na khawab main
Meray dil kay jada-e-khush'khabar kay rafeeq
Tum hi batao phir keh yeh kar-o-baar-e-hayat kis kay hisaab main
Meri zindagi main bas ik kitab ik chragh hai
Ik khawab hai aur tum
No comments:
Post a Comment