May 19, 2014

Naye dino ke naye safar main dihaan rakhna




Naye dino ke naye safar main dihaan rakhna

Khamosh chup chaap

Kuch na kehti in sa'aton ne

Sonp dalay naye taqazay rafaqaton ke

Dehaan rakhna

Keh apnay hissay ke sab taqazay nibahay hain

Sath chaltay hyue safar main

Her aik dagar par chahaton ke gulaab likhna

Warq warq aitamaad jis main

Harf harf main ho jaan nisari

Nai kushiyan , naye manazar

Nai misalaein , naye hawalay

Bas aik aisi hi mohabbaton ki kitaab likhna

Naye dino ke naye safar main.....

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...