pyaar ki raah main dar lagta hai 
bara mushkil yeh safar lagta hai
yeh udasi ka fasoon hai shayed
pheeka pheeka sa qamar lagta hai
shab ka manzar hai teri zulfon main 
rukh pe ik rang-e-sehar lagta hai
bari khamosh hai us ghar ki fiza
koi asaib udhar lagta hai
tahir fikar ko az farsh ta arsh 
aik lamhay ka safar lagta hai
main woh insaan gazeeda hoon jissay 
apney saye se bhi dar lagta hai
roz kehta hoon ghazal main yawar 
mujhay piyara yeh hunar lagta hai
 
No comments:
Post a Comment