May 14, 2014

Sakoot-e-shab hai tanhai hai


Sakoot-e-shab hai 
Tanhai hai 
LAkin aisi tanhai 
Keh jis main goonjti rehti hain sari un'kahi baatein 
Jo dil main shor to karti hain 
Lakin keh nahin paatay 
Kisi kay door jatay paaon ki halki si woh aahat 
KAbhi paton ki khar'khar main 
Kisi kay loatnay ka shaq 
Kabhi beetay palon ki goonj 
Kabhi madham si sargoshi 
KAbhi apnay hi andar chal rahi aandhi ki awazein 
Sakoot-e-shab hai tanhai hai 
Lakin aisi tanhai 
Keh jaisay door tak phaila hua awazon ka jungle

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...