tarapti raton main siske'yan jab tumhain sataein to yaad karna
Agar kabhi raaston main kaantay tumharay ayein to yaad karna
Qasam hai hum ko tumhari sajna mout ko bhi shakist dain gay
Tumharay dil ko tumharay apnay agar dukhaein to yaad karna
Hamein khabar hai keh is jahan main kisi ka apna kahan hau hai
Sohanay sapnay agar toot jayein to yaad karna
Mohabbaton main hijar lamhay azaab hotay hain hum se poocho
Agar kabhi bhoolay bhatkay tum par azab ayein to yaad karna
Bicharna aasaan nahin hai sajna raat din hai is main rona
Tumharay rastay kay phool poday muskuraein to yaad karna
Meri ghazlein agar parho tum ya geet meray suno kahin par
Tumhari aankhon main aansoo aa kar tumhein rulaein to yaad karna
Yaad-e-maazi to dost sab ki bho sata'ti hai zindagi bhar
Purani baatein , purani yaadein dil jalaein to yaad karna
Ghamon ki shiddat kay imtihaan main karb kitnay chuppay huye hain
Agar kabhi aks kuch puranay tumhein bulaein to yaad karna
Barastay badil chamakti bijli udaas shamein hijar raatein
Yeh sab hain kitnay azaab lamhay loat ayein to yaad karna
"Naseem" subha main gulon ko choona muskurana tumhari aadat hai
Yeh phool poday tumhari khaatir muskuraein to yaad karna
No comments:
Post a Comment