May 31, 2014

Tasveer teri dekh ke hota hoon ashk'baar


Tasveer teri dekh ke hota hoon ashk'baar
pani ki motiyon se banati hai aankh haar

dil main chamak rahi hain nigha'on ki bijliyan 
aankhon pe cha raha hai teray pyaar ka khumar

teray bagair zindagi ab to andhera hai
urta hai meray charon taraf dard ka ghubar

sochon ke dairay main tera naam aye ga
chup chup ke dhoondta hon tujhay badlon ke paar

phirta hoon chandani main bhatakta hua hassan
shayed pukaar le kisi janab se boo-e-yaar

 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...