Bharka'ein meri piyaas ko aksar teri ankhain
Sehra mera chahera hai samandar teri ankhain
Phir kon bhala dad-e-tabasum unhain de ga
Ro'ein ge bhout mujh se bichar kar teri ankhain
Boujhal nazar ati hai ba'zahir mujhay lakin
Khailti hain bhout dil main utar kar teri ankhain
Ab tak meri yadon se mitaye nahin mit'ta
Bheegi hui shaam ka manzar , teri ankhain
mumkin ho to ik taza ghazal aur bhi keh loon
Phir orh na laein khwaab ki chadar teri ankhain
Youn dekhtay rehna ussay acha nahin Mohsin
Woh kaanch ka paikar hai to pathar teri ankhain
Poet : Mohsin Naqvi
No comments:
Post a Comment