May 17, 2014

Tujh se naraaz nahin zindagi hairaan hoon main



Tujh se naraaz nahin zindagi hairaan hoon main
Teray masoom sawalon se pareshaan hon main
Jeenay kay liye socha hi na tha dard sambhal'ny hon ge
Muskura'on to muskuranay ke qarz utarnay hon ge
Mukuraon kabhi to lagta hai
Jaisay honthon pe qarz rakha hai

Tujh se naraaz nahin zindagi hairaan hoon main
Aj agar bhar aye hain bond'ein baras jayein ge
Kal kiya pata in kay liye ankhain taras jay'ein ge
JAnay kahan gum hua , kahan khoya
Aik ansoo chupa ke rakha tha

Tujh se naraaz nahin zindagi hairaan hoon main
Zindagi teray gham ne hamain rishtay naye samjhay
Milay jo hamain dhoop main milay cha'yon ke thanday saye
Tujh se naraaz nahin zindagi hairaan hoon main

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...