May 21, 2014

kis qadar zulam dhaya kartay ho



kis qadar zulam dhaya kartay ho

yeh jo tum bhool jaya kartay ho

kis ka ab hath rakh ke seenay pe

dil ki dharkan sunaya kartay ho

hum jahan chaye peenay jatay hain

kiya woh ab bhi aya kartay hain

kon hai ab keh jis ke chaheray par

apni palkon ka saya kartay ho

kyn meray dil main rakh nahin detay

kis liye gham uthaya kartay ho

phone par geet jo sunatay thay

ab woh kis ko sunaya kartay ho

akhrai khat main us ne likha tha

tum mujhay yaad aya kartay ho

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...