May 19, 2014

Tumhein jana ijazat hai keh in tareek raahon par


Tumhein jana ijazat hai 
keh in tareek raahon par 
Thakan si khud main paao to 
Andehron se kabhi dil dol jaye 
Thak si jaao to 
Meray jaltay huye lamhon 
Meray kang'gaal haathon se chura kay apnay haath ko 
Fiza ki nagh'magi se tum nit naye geeton ko chun lena 
Haseen palkon ki nokon par naye kuch khawab bun lena 
Koi gar pooch lay mera to us se zikar nahin dena 
Meray jeewan ki jalti do'pehar se be'gharz ho kar 
Tum apni chandni raaton main jugno paalti rehna 
Meri tanhaiyon ki wehshaton ki fikar mat karna 
Tumhain ijazat hai 
Meray sab khat jala dena 
Meray tohfon ko dariya main bahana ya daba dena 
Meri her yaad ko dil se kurchana aur mitta dena
Tumhein bilkul ijazat hai 
Magar bas itni guzarish hai 
Agar aisa na ho jana 
To acha hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...