Uljhan
Woh aik socha hua naaz sa takalum main
Nazar main aik jhij'jhak si bana'i hui
LAbon pe aik tabasum zara lajaya sa
Jabeen pe bazam-e-murawat saji sajaai hui
Dhaka dhaka sa takabur woh baar sun'nay main
Thi us main husan ki nazish kahin chupai hui
Badan main khouf ki larzish bhi , aur dawat bhi
Guraiz karti hui aur qareeb aati hui
Kuch us ko dekh kay khulta na tha keh kya hai
Faraib deti hui ya faraib khaai hui
No comments:
Post a Comment