us ka inkaar bhi haq tha sar-a-sar meray
yeh jo halaat huye jatay hain behtar meray
woh koi chaand ka tukra bhi nahin tha lakin
chandani us ki bichi rehti hai andar meray
main akela tha so us maarakay main kaam aya
aur peechay hi kahin reh gaye lashkar meray
doobta bhi nahin sahil pe utra bhi nahin
naaz karta hai safeeny pe samandar meray
roshni main jo musalsal nahin reh sakta main
sath hoti hai koi shaam bhi din bar meray
sookh jata hai yeh behta hua pani aksar
aur her baar nikal atay hain pathar meray
dehaan rekta hoon zafar zakham-e-tamasha ka bhout
pahir bhi tankay kai khul jatay hain aksar meray
Poet : Zafar Iqbal
No comments:
Post a Comment