May 29, 2014

Us se main aksar kehta tha


Us se main aksar kehta tha
jana! apni gari badlo
tum pe yeh choti sheerad bilkul suit nahin karti
dekho is ke pehy'ye dekho dekho dekho yeh daish bord dekho
kitna halka kitna sasta
waisay bhi tum sach poocho to yeh jo ungli main diamond hai
 yeh bhi is se mehnga ho ga
is main aisi do, do karain aa sakiti hain
us se main aksar yeh kehta tha
yaar ! tum apni gari badlo
jaray anay wale hain
aur yeh heetar kaam nahin karta
yeh a/c bhi theek nahin hai tum ko lu bhi lag sakti hai
aur yeh dekho
itni achi composition aur bosida sound system
meri aqal se sab bahir hai
main to public transport pe aa jata hoon
bachpan se is ka aadi hon
lakin tum yeh kaisay ! kyn kar itni chori gari toba
meri aqal se sab bahir hai
us se main aksar  kehta tha 
yaar ! tum apni gari badlo

Ik din woh zich ho kar boli
janey kiya hai kuch arsay se 
jab se tum jeevan main aye
choti gari , choti cheezain
2 kamron ke chotay ghar aur chota aangan
choti moti hansti duniya, choti galiyan
choti basti
nanhay munhay mehkay khwaab
aur kuch choti choti kushiyaan
mujh ko ab achi lagti hain
janay kiya hai lakin sab kuch
choti choti khwaish ban kar
mujh main raqas kiya karta hai 

main nadaan tha yeh samjha woh meri gurbat main
asani se reh lay gi
phir kuch urtay lamhay aye
college ke 2 saal youn guzar gaye
jaisay saans guzar jati hai
2 salon main mousam badlay , faishon aur se aur hua to
sochon main tabdeeli ayi
hum chotay se baray huye aur
jeenay ko pehlay se barh kar mushkil paya
is ki her choti khwaish ka qad nikla aur 
us ki nanhi sochon ne bhi karwat badli
ik din us ne apnay ghar ki sari choti choti cheezain 
apnay mali ke chotay bachay ko de dein
choti galiyan , chotay aangan , choti basti
yeh sab to waisay bhi us ko ik ghar main hi mil sakta tha
us ne choti gari badli
tark kiye woh saray dost
sab rishtay aur sab sathi 
jo chotay thay
aur un sab choton main main sab se ziada chota tha
us se main khud hi kehta tha 
Yaar ! tum apni gari badlo 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...