woh raat jaan se guzar gaya
woh ajeeb sa koi aadmi
yahi aik kaam kar gay
woh ajeeb sa koi aadmi
bari hasratain thein nigha main
bara karab sa tha kraah main
keh jo saans letay hi mar gaya
woh ajeeb sa koi aadmi
jo toluh-e-mehar ka aseer tha
woh jo aik mah-e-munir tha
woh ujala dekh ke dar gaya
woh ajeeb sa koi aadmi
keh jan khalq be'amaan thi
jo lahu lahu koe jaan thi
to palat palat ke yaro udhar gaya
woh ajeeb sa koi aadmi
na ussay panaah kahin mili
magar aik masjad-e-dil to thi
so khuda ke ghar main th'air gaya
woh ajeeb sa koi aadmi
jo chala gaya to yeh baam-o-dar
tamaam galiyan tamaam ghar
yahi poochtay hain khider gaya
woh ajeeb sa koi aadmi
woh jo be'sabab ki thi bar'hami
jissy jantay thay sabhi kami
ussy ashkaar kar gaya
woh ajeeb sa koi aadmi
keh jo pass tha to na thi talab
keh jo door hai to chubhan si hai
bara be'qaraar kar gaya
woh ajeeb sa koi aadmi
kabhi kush hua to bhout hi khush
kabhi dukh mila to bhout dukhi
kabhi jee gaya kabhi mar gaya
woh bhout ajeeb sa koi aadmi
tumhain shaan ab yeh batayein kiya
kisi raaz ko bhi chupaein kiya
keh idher gaya ya udhar gaya
Woh ajeeb sa koi admi
Bohat Alaaaw. Loved it
ReplyDeletethanks brother
Delete