May 31, 2014

woh chala gaya achanak sabhi rabtay mita kar

woh chala gaya achanak
sabhi rabtay mita kar
sabhi zabtay bhula kar
so koi sabab to ho ga
mujhay hai yaqeen us par
yeh jo dil ke rabtay hain
inhain laakh woh mitaye
hain jo zabtay wafa ke
inhain laakh woh bhulaye
yeh jo dil dharak raha hai
yeh jo gardahein hain khoon main
yeh jo saans chal rah hai
yeh daleel hai keh mujh ko
woh yaad kar raha hai
woh hai meray dil ki manzal
mera hamsafar bhi woh hai
woh nazar ke samney bhi
aur pas-e-nazar bhi woh hai
meray dard ka hai khaliq
mera chara gar bhi woh hai
hai usi ka rang mujh par
meray chaar so wohi hai
meray dil ki raah guzar par
meray ru'baru wohi hai
meri aankh ka hai tara
wohi chaand meri shab ka hai
meri guftagoo main shamil
woh maqaam hai adab ka
yeh jo rabtay hain dil ke
inhain laakh woh mita le
yeh nahin mitaye jatay
ussay kaisay main bataon
woh chala gaya achanak
sabhi rabtay mita kar

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...