Mar 28, 2015

Woh kehti hai suno janaa mohabbat mom ka ghar hai



Woh kehti hai suno janaa
Mohabbat mom ka ghar hai
Tapish bad'gumani ki 
Kahin pighla na de is ko

Main kehta hoon
Jis dil main zara bhi badgumani ho
Wahan kuch aur ho to ho
Muhabbat ho nahin sakiti

Woh kehti hai sada aisay hi 
Kiya tum mujh ko chayo ge
Keh main is main kami ko bhi
Gawara kar nahin sakti

Main kehta hoon
Mohabbat kiya hai
Yeh tum ne sikha'ya hai
Mujhay tum se mohabbat ke siwa
Kuch bhi nahin ata

Woh kehti hai
Judai se bhout darta hai mera dil
Keh khud ko tum se hat kar dekhon
Mumkin nahin hai ab

Main kehta hoon
Yahi khad'shay bhout mujh ko satatay hain
MAgar sach ahi mohabbat main
Judai sath chalti hai

Woh kehti hai
Batao kiya meray bin gee sako ge tum
Meri batain , meri yadaien, Meri ankhain
Bhula do ge

Main kehta hoon 
Kabhi is baat par socha nahin main ne
Agar ik pal ko be sochon to
Saans'ein rukney lagti hain

Woh kehti hai tumhain mujh se
Mohabbat is qadar kyn hai
Keh main ik aam si larki
Tumhain kyn khaas lagti hai

Main kehta hoon
Kabhi khud ko meri ankhon se tum dekho
Meri dewangi kyn hai
Yeh khud hi jaan jayo ge

Woh kehti hai
Mujhay waraftagi se dekhtay kyn ho
Keh main khud ko bhout
Keemti mehsoos karti hoon

Main kehta hoon
Mata-e-jaan bhout anmol hoti hai
Tumhain jab dekhta hoon zindagi
Mehsoos karta hoon

Woh kehti hai 
mujhay alfaaz ke jugnoo nahin miltay
Keh tumhain bata sakon
keh dil main meray
Kitni mohabbat hai

Main kehta hoon
Mohabbat to nigha'on se jhalak'ti hai
Tumhari khamoshi mujh se
Tumhari baat karti hai

 Woh kehti hai
Bata o na kis ko khonay se dartay ho
batao kon hai woh jissay
Yeh mousam bulatay hain


Main kehta hoon
Yeh meri shairy hai aaina dil ka
Zara dekho batyo kiya
tumhain is main nazar aya

Woh kehti hai
Suno bhout batain banatay ho
Magar sach hain yeh baatain
Bhout hi shaad rakhti hain

Main kehta hoon
Yeh sab baatain yeh fasanay ik bahana hain
Keh pal kuch zindgani ke
Tumharay sath kat jayein
Phir us ke baad khamoshi ka
Dil;kash raqas hota hai
Nigahain bolti hain
Lab khamosh rehtay hain


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...